Nazm:”Abhi kuch kaam karney hain”
Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho’n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate’n karni hain
tumhare naam sari rate’n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke’n ge
abhi to you’n bhi hona hai
k teri jheel si ankho’n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho’n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho’n mein tumhara haath thamey
haa’n kisi weera’n sarak pe
chandni raato’n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you’n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko’n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe’n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko’n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain.
Poet:Yaseen Shahi
Posted by AMJAD ALI
Posts Tagged ‘urdu poetry’
“Abhi kuch kaam karney hain” Urdu nazm by Yaseen Shahi
Wednesday, July 14th, 2010“mujhe tum nazar se giraa to rahe ho”
Wednesday, July 7th, 2010mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
na jaane mujhe kyuun yaqeen ho chalaa hai
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge
merii yaad hogii jidhar jaaoge tum
…kabhii naGmaa ban ke, kabhii ban ke aansou
tarapataa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayii merii wafaa ne
bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakog
kaabhii naam baaton mein aayaa jo meraa
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigaahon pe chhaayegaa Gam kaa andheraa
kisii ne jo poochhaa sabab aaNsuon kaa
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge
Posted by Ahsan Rizvi
“woh kehti hai ke kitne acha lagte hoo urdu shayari designed by Ahsan Rizvi”
Tuesday, June 29th, 2010woh kehti hai ke kitne acha lagte hoo urdu shayari designed by Ahsan

woh kehti hai ke kitne acha lagte hoo urdu shayari designed by Ahsan
Shared by Ahsan Rizvi
“Naaraz na ho mujh se yoon dil na dukha yaara” by “Mustafa Abeer”
Sunday, June 27th, 2010

Naaraz na ho mujh se yoon dil na dukha yaara,
Hae kaun mera tujh bin daman na chhurra yaara,
Taaron ke jhamele mein yeh chaand bhi tanha hae,
Tu aaj falak per aa tanhaai mita yaara,
…
Her raat udaas aur din betaab kattey mera,
Is tarha muhabbat mein mujh ko na sata yaara,
Jal jal ke judaai mein ik umr guzaari hae,
Tarsa na zara mujh ko aa aag bujha yaara,
Haalaat badalte hi ma’yaar e wafa badla,
Dil mein tou adaawat hae honton pe du’a yaara,
“tum meri zindaghi mein youn ay urdu shayari in urdu by SALMA KHAN”
Saturday, June 26th, 2010
tum meri zindaghi mein youn ay urdu shayari in urdu by SALMA KHAN.jpg

tum meri zindaghi mein youn ay urdu shayari in urdu by SALMA KHAN.jpg