
Naaraz na ho mujh se yoon dil na dukha yaara,
Hae kaun mera tujh bin daman na chhurra yaara,
Taaron ke jhamele mein yeh chaand bhi tanha hae,
Tu aaj falak per aa tanhaai mita yaara,
…
Her raat udaas aur din betaab kattey mera,
Is tarha muhabbat mein mujh ko na sata yaara,
Jal jal ke judaai mein ik umr guzaari hae,
Tarsa na zara mujh ko aa aag bujha yaara,
Haalaat badalte hi ma’yaar e wafa badla,
Dil mein tou adaawat hae honton pe du’a yaara,