Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hon Jin Se Unn Hi Ke Khayaal Hote Hain
Machalte Rehte Hain Zehno’n Main Waswaso’n Ki Tarah
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain
Main Dil Ke Zakhm Chupaao’n Teri Tarah Kaise
Ke Tere Paas Toh Lafzo’n Ke Jaal Hote Hain
Bas Ek Tuu Hi Sabab Toh Nahin Udaasi Ka
Tarah Tarah Ke Dilo’n Ko Malaal Hote Hain
Siyaah Raat Mein Jalte Hain Jugnuo’n Ki Tarah
Dilo’n Ke Zakhm Bhi Kitne Kamaal Hote Hain
