ik saza aur aseeron ko suna di jaye
yani ab jurm e aseeri ki saza di jaye
uski Khowahish hai k ab log na roen na hansen
be’hisi waqt ki aawaz bana di jaye
dasht e nadeeda ki tehqeeq zaruri hai magar
pehle jo aag lagi hai wo bujha di jaye
sirf jalna hi nahi humko bharakna b to hai
ishq ki aag ko laazim hai hawa di jaye
sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir
ik shab aur meri shab se mila di jaye
aur ik taza sitam usne kiya ejaad
usko is baar zara khul k dua di jaye.
Slam all Friends..
can any one tell me poet name