Jo chal sako to koi aisi chaal chal jana
Mujhe gumaan b na ho aur tum badal jana
Ye sholagi ho badan ki to kya kiya jaaye
So laazmi tha tere pairhan ka jal jaana
Tumhi karo koi darmaan, ye waqt aa pohancha
K ab to chaara garon ko b haath mal jana
Abhi abhi to judaai ki shaam aayi thi
Humain ajeeb laga zindagi ka dhal jana
Saji sajaai hui maut zindagi to nahi
Mu’arrakhon ne maqaabir ko b mehal jana
Ye kya k tu b isi saa’at e zawaal main hai
k jis tarah hai sabhi soorajon ko dhal jana
Har ek ishq k baad aur us k ishq k baad
Faraz itna b aasaan na tha sambhal jana