Nazm:”Abhi kuch kaam karney hain”
Abhi rona hai
zabt-e-ghum ka darya paar karna hai
abi to zehn ko
teri judaee k liye tayyar karna hai
abhi to akhri lamho’n mein tum ko pyar karna hai
abhi to qarya qarya
hum ko tere pyar mein badnaam hona hai
abhi yeh kaam hona hai
lab-e-sahil kharey ho kar
zuban-e-khamshi mein janey kitni bate’n karni hain
tumhare naam sari rate’n karni hai
wo jitney din mere jeewan k baqi hain
tumharey naam karney hain
abhi kuch kaam karney hain
abhi to zakhm chahat k teri khushboo se mehke’n ge
abhi to you’n bhi hona hai
k teri jheel si ankho’n mein
mujh ko doob jana hai
abhi waqt-e-wida k akhri manzar ko
ankho’n mein basana hai
abhi to hijr k samjhotey teh honey hain
hatho’n mein tumhara haath thamey
haa’n kisi weera’n sarak pe
chandni raato’n mein kitni door jana hai
abhi to mann mein ik ehsas jagey ga
kisi k paas aney ka
kisi k door janey ka
abhi to mujh ko teri god mein sar rakh k rona hai
abhi to you’n bhi hona hai
tere daman pe girney se zara pehley
tere ashko’n ne to rukhsar ka bosa bhi lena hai
tumhe’n ik akhri khat bhi to dena hai
abhi to husn ko palko’n ki dori mein pirona hai
abhi to ishq k sarey mehel neelam karney hain
abhi ruk jao
na jao
abhi kuch kaam karney hain.
Poet:Yaseen Shahi
Posted by AMJAD ALI
“Abhi kuch kaam karney hain” Urdu nazm by Yaseen Shahi
July 14th, 2010“Bewafai se pareshan bhi ho jatey hain” “Yaseen Shahi”
July 14th, 2010
Bewafai se pareshan bhi ho jatey hain
Narm jhonkey kabhi toofan bhi ho jatey hain
Hum ne Mehboob jo badla to ta’ajjub kesa
Log kafir se musalman bhi ho jatey hain
Shehr bhar ko main muhabbat to sikha doo’n lakin
Khud tarashey huey bhagwan bhi ho jatey hain
You’n to ik dard ka rishta hai zamaney bhar se
Log kuch zeest ka unwan bhi ho jatey hain
“Dayaar-e-Ghair mein kaise tujhay sadaa daitay”
July 8th, 2010
Dayaar-e-Ghair mein kaise tujhay sadaa daitay
tuu mil bhi jaataa to tujhe gaNvaa dete
tumhin ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varanaa
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa dete
hamen ye zom rahaa ab ke vo pukaarenge
unhen ye zid thi ke har baar ham sadaa dete
vo
teraa Gham thaa ke taasir mere lahaje ki
ke jis ko haal sunaate use rulaa dete
tumhen bhulaanaa hi avval to dastaaras men nahin
jo iKhtiyaar bhi hotaa to kyaa bhulaa dete
“mujhe tum nazar se giraa to rahe ho”
July 7th, 2010mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
na jaane mujhe kyuun yaqeen ho chalaa hai
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge
merii yaad hogii jidhar jaaoge tum
…kabhii naGmaa ban ke, kabhii ban ke aansou
tarapataa mujhe har taraf paaoge tum
shamaa jo jalaayii merii wafaa ne
bujhaanaa bhii chaaho bujhaa naa sakog
kaabhii naam baaton mein aayaa jo meraa
to bechain ho hoke dil thaam loge
nigaahon pe chhaayegaa Gam kaa andheraa
kisii ne jo poochhaa sabab aaNsuon kaa
bataanaa bhii chaaho bataa naa sakoge
Posted by Ahsan Rizvi
“Har Kisi Se Hum Ne Wafa Ki”
July 4th, 2010
Har Kisi Se Hum Ne Wafa Ki…!!
Bus Yehi Zindagi Main Khata Ki…!!
Chahaton Ke Hajoom Main Tanhai ..!!
Mujh Ko Doston Ne Hi Atta Ki..!!
Soz-E-Dil Yunhi Nahi Mila Hum Ko..!!
Bari Keemat Thi Is Ki Jo Hum Ne Adaa Ki..!!
Jo Humra Na Ho Saka Hum Ne Aksar
number of view: 1793